Thursday, 4 July 2013

We need a change!!

"AAJ PHIR MASHAALON KO JALAANA HAI"

Aaj phir mashaalon ko jalaana hai,
Raat ko bhi suraj ka ujaala dikhana hai,
Itihaas bin taraasha reh gaya tha,
Aaj use dobara banana hai.

Rakt baha toh tha par,
Dhara tak pahoch na paaya,
Likhe hue the khonf ke naam har kahin,
Par koi unhe mita na paaya.

Din raat the laapta,
Hum toh so rahe the be-khabar,
Ruke reh gaye the hum yun hi,
Na jaane kiska tha humein sabar?

Jaagna hai kadmo se,
Sabar ko hi sulaana hai,
Aaj phir mashaalon ko jalaana hai.
Panno ko syaahi ka,
Asli rang batana hai.

Thakenge nahi iss baar hum,
Na jhukenge kisi ke bhi kad ke neeche,
Le aayenge kaafilon ko waapas,
Jo reh gaye the kahin peeche.

Sparsh iss zameen ka,
Maathe par lagaana hai,
Aaj phir mashaalon ko jalaana hai,
Raat ko bhi suraj ka ujaala dikhana hai,
Itihaas bin taraasha reh gaya tha,
Aaj use dobara banana hai.





Wednesday, 3 July 2013

Improving minds to secure all HOPES

KAB TAK

Kab tak hum rokte rahenge apne iraadon ko bahar jaane se..
Kab tak darr mein jiyenge zindagi apni aisi mautein aane se..
Kab tak hum chupe rahenge iss aatank ke peeche?
Kab tak hum jhuke rahenge iss khaunf ke neeche?

Lipte rahenge iss aag mein...par kab tak?
Ghiste hue sahenge dard ko...par kab tak?
Kab tak har maa ki aawaaz dabi rahegi sangharsh mein?
Kab tak har behen ki aas band rahegi iss farsh mein?

Banunga waha taakat..
ki koi puch na paaye ye himmat rahegi kab tak..
Hogi woh jang iss kalyug mein..
Jo ho na saki ab tak!


“Lock up your libraries if you like; but there is no gate, no lock, no bolt that you can set upon the freedom of a women's mind.” 

Tuesday, 2 July 2013

A Tribute To Uttarakhand's Lost Lives

                         "BEH GAYI NADI PAR AANKHON MEIN AANSUN CHHOD GAYI"

Nigaahe dhundhli ho gayi,
Jhalak aafat ki dikhi,
Milan ban gayi jhalak,
Sanhaar se roop ki dikhi,
Dekhte - dekhte khushi ki kalai,
Tabaahi marod gayi,
Beh gayi nadi par,
Aankhon mein aansu chhod gayi.

Chha gaya tha maut ka saaya,
Kon ujaala la paata,
Ab aur nahi koi dekh paaya,
Jaise man mein bas gaya ho sannata.

Ucchal rahi thi boondein aisi,
Jaise jag ko aur nihaara ho,
Beh rahi thi laashein aisi,
Jaise Ganga maa ne pukaara ho.

Raahat ko koi haath nahi,
Toh kisi ko kismat ka bhi saath nahi,
Yeh barbaadi,
Dard aur khonf ki baahon ko jod gayi,
Beh gayi nadi par,
Aankhon mein aansu chhod gayi.

Seema na thi vinaash ki,
Netao ka ab bhi chaalu tha dandha,
Dum na tha pairon mein,
Sirf sahara tha sena ka kandha,
Vinaash ki laathi maano,
Iraado ki deewar tod gayi,
Beh gayi nadi par,
Aankhon mein aansu chhod gayi.