It started from here.

"HUMARE SWATANTRATA SENANI"


Ve the chhote par..
chhod gaye apne parivar ko..
dikhane nikle duniya ko..
desh ke prati apne pyaar ko..


Na dar tha ki ghar hum waapas lot payenge...
par thi yahi manzil ki apni TAAKAT duniya ko hum dikhayenge...
bade uchhal rhe the ANGREZ duniya ko hum sirf apna banayenge..
par inke man mein tha yahi ki inhe hum bahar nikal batayenge...

Bhule sab apna abhiman..
laga di sabne apni jaan..
aakhiri saans tak ve ladte rhe the..
BHARAT MAA ke liye inke dil kitne bade the..

Bhale hi ve sab VEER rehte the KILLON(fort) mein..
par ab bas bach gye humare dilon mein...
Parwah nhii ANGREZ kitne bhi KHUNKHAAR ho...
bas hum ladte rhe khaali haath chahe unke paas HATHIYAAR ho..

Yaad karo vah din...
jab ANGREZON ne humare dil ki aag naapi thi...
Yaad karo vah din..
jab GANDHI JI se puri ANGREZ FAUJ kaapi thi...

Jaate-jaate ve humein AAZADI ka PATRA diye chale gye the..
Unhe MRIT dekh humari aankhon mein aansun bhar gye the..
Un VEERON ki DHADKANE aaj bhi is DHARTI par DHADAKTI h...
Jis ki wajah se aaj bhi ANGREZON ki BHOOMI SARAKTI h...

JAI HIND..!! JAI BHARAT..!!

2 comments:

  1. bhai kya bolu yaar..jhakaas ...that was a poem i needed..amm u had written it in bus when we travelled from school to our home i remb. that phrase-Un VEERON ki DHADKANE aaj bhi is DHARTI par DHADAKTI h...
    Jis ki wajah se aaj bhi ANGREZON ki BHOOMI SARAKTI

    ReplyDelete
    Replies
    1. :)!
      thnk u fr dis love brotha!
      Yeah!
      And I remembr..I used to ask u and pravek to read it..And believe me,dose were d best Advices one can have!

      Delete