Tuesday 17 September 2013

If truth is left behind, how will the nation move forward ?

"Kya ye wahi desh hai"


Panno par sukhi syaahi ke nishaan,
Bohot nam haalatein bayaan kar rahe the,
Bol rahe the wo pure watan se,
Par shayad sab ansuna kar rahe the.

Ek ke baad ek har vaakya kuch darsha raha tha,
Beparwah mann ko laakh koshish kar samjha raha tha,
Soch thi, ye do chhand bas likhe gaye hai, likhne ke liye
Par asal mein har shabd koi daastan suna raha tha.

Dhokadhadi, brashtachaar, lachaari ke kisse
Neta, ghotale, berozgaari ke charche,
Bhook, laparwahi kahin pehle ye sab hriday dehla dete the,
Dil chhod sabhi, dard ko behla dete the.


Maa ke aansuon ki tasveer sirf ek chhote se dukh ka manzar dikhai pad rahi thi,
Khonf maano apni adhiktar seema par akad rahi thi,
Raaste haryaali nahi, lahu ke patjhad se bhare hue the,
Aasman suraj ki kirno se nahi, andher ki chaahton se mare hue the.

Yaad aa rahe the wo din, jab unnati ke samachar padhne ko milte the,
Tan-man harshollas se kali ki tarah khilte the.

Sannata mere khayalon par chhane laga tha iss baar,
Vismit tha main, chhut gaya haathon se wo akhbaar,


Har kadam par sochne laga, kya ye wahi desh hai, kya ye wahi dharti hai,
Kya ye wahi jag ki sone ki chidiya hai ?
Ek aawaaz andar se aayi,
"Yah chidiya bandish ki baahon mein fir lupt hone ko hai,
Pankh hai jaane ko, qabr ki aanchal mein bas ab khone ko hai."






Sunday 15 September 2013

Hindi - 'OUR' Mother Tongue

Today, on this great day I feel proud for what I am and the reason 'coz of which I stand. Hindi is not just a language, it's a love that is a direct communication from the heart and to the heart. A sibling of Sanskrit that now has a billion sons and daughters who have pride on their faces. JAI HIND! JAI BHARAT!

Barso beete, kai zamaane chale gaye,
Laakh hui baatein,
Laakh bane geet,
Par haath mein rakhi syaahi par,
Sirf Hindi ke lafz raj karte chale gaye.

Manzil hai unnati ki,
Isse jeet ki asha samajha hai,
Milenge sur duniya se,
Iss kaabil bhasha isse samjha hai.

Yeh mitti ki khushboo hai,
Dil ki hai dhadkan,
Sparsh hai shraddha ka,
Hai phool bikhra aangan.

Jiss dharti par hai iski chhaya,
Wah dharti amar jahaan hai,
Hai garv seene par,
 Aakhir hum Hind ki santaan hai.





Wednesday 4 September 2013

Teacher's Day Special :)


"You don't have to think too hard when you talk to teachers 'coz they know you."


"GURU"

Wah vyakti jisne har kadam par sambhalna sikhaya hai,
Gyaan ka deepak sadev mann mein jalaya hai,
Har koshish ko ek daastan ka kirdaar bataya hai,
Tum ho ek aasman ke panchi, udo apne armaano ke saath,
Iss baat ka basera dil mein banaya hai.

Ek hi mez par baithe, duniya ka kona kona dikhaya hai,
Pyaar ka ann swaym ke haathon se khilaya hai,
Geet khushi ka - Muskurahat ka,
Har dukhi kshan mein inn kaano ko sunaya hai.

Mehnat - parishram mitra hai safalta ke,
Unse humein bhi kai baar milaya hai,
Haar kar baith jaana nahin,
Uthkar fir se ladna sikhaya hai.

Wah vyakti, jo apna sampoorn waqt,
Kisi ke kal ko de deta hai,
Wah haqiqat mein Guru hi nahin,
Ishwar ka roop le leta hai.